Thursday, January 7, 2016

Dard to hota hai magar,
Sehna seekhlenge hum.

Zakhmi hue hain to kya?
 marham lagaana aazma lenge hum.

Mohabat ke raah mein
kya paaya, kya khoya raahi?
Mar markar jo jeeye use
Aashiq kehte hain bhaai!

Bewafaai to pyaar ka intihaan hai raahi,
Mohabat mein mar mitne ka mazaa wo kya samjhenge bhaai?

Pyaar to khuda hi hai
Har kisiko yeh naseeb to nahin.
Yaadon ki khushbu mein jhoom le
Zindagi isiko kehte hain bhaai!!