Kuch anmol aur anOkhi rishte naathe
Kayi bandishen aur kuch unkahi baathen!
Bin aapke, kyA baarish? aur kyA chAndini raathen?
Kabhi toh yaad kiya keejiye...
Kabhi kabhi hi sahi, humaara bhi toh zikhr kiya keejiye!?
Aur bhi bahut si baathen thi
Aur bhi kayee unkahee nagme the
Aur bhi unsunee kahAniyaan thi
Aur bhi kuch kehna baaki tha
Aur bhi kuch sunne ki chAhat thi
Jis mulAkAt ke liye hum barson tarasthe rahe
Woh mulAkAt bhi Ek adhoori kahAni thi
JAne kab milengi parchaayiyaan
JAne kab mitengi dooriyAn
Yeh mohabbat bhi zaalim hai aakhir
Aaghaz hai par koyi anjAm nahin hai
Dar hai kaheen intezaar mein yeh zindagi na guzar jaaye
Beethrahi in palon ke abtari mein
tumhari chAhat kaheen na tham jAye!