Tuesday, December 23, 2014

Dhua hi dhua

Pyaar ke intezaar mein, takleef tho hai magar
Unki aarzoo mein phir bhi, thakti hi nahin pyaasi nazar

Pyaar ka jaadoo hai yeh, shaayad  rukta hi nahin
Khushi mile ya gham, zaalim yeh to maanta hi nahin

Dil jalta hai yaad mein
Raath katthi nahin

Yoon thadap thadap ke hum  khud jalgaye
Unki dil tak yeh dhua, pahunchta kyoon nahin...

Rooh jo dhoonde unhe, ey khuda, thu hi batha
Dil bas yahi savaal dohraa rahi

kya woh ab kabhi mudke
humse milne aayenge hi nahin?

Saturday, December 13, 2014

Hum hain ya nahin?

Yaad kyaa karna, jinhe bhoole hi nahin
Pal pal saason ke saath rehte hain woh
Sirf wohi hain, hum to jaise hain hi nahin!

Unse mile na mile, aakhen poochti nahin
Jaan se jude hain woh,
to kya hua woh, jo saamne aate nahin.

unki aawaaz goonje kaano mein humesha
Yeh kaan humaari thakti nahin

Yoon tarse hum jaise  zinda to hain,
Phir bhi lage hum zinda hi nahin

Kahin yeh zaalim mohabat to nahin?
Jo aakhir tak  rukta nahin.
Ek baar jo chad gaya, woh dil se kabhi utarta hi nahin.

Wednesday, December 10, 2014

Diye jal gaye

aaj mere dil mein bhi diya jal utha
Aangan ke saath mera ang bhi khil utha

Unki aahat kaanon mein jo goonj uthi
Hazaar shehnaayiyaan tan man mein baj utha

Jis aawaaz ko sunne ke liye hum taras rahe
Use sunke khushi mein paagal man ro utha!!

Love - is All

Love, A longing from within
To reach back in, from where it began!

A daunting horizon to chase, but not in a haste.
It lingers within and favours those, that taste.

A game of misery and suffering it may seem,
Till it clings to attachment that's innate!

Love teaches that it's far beyond,
All that is intimate and is a trait!

It's the only way to get to HIM
So strive for it, day and night.

Love is all that is there...
And it's just everywhere- just hold your sight!

Life is but  an endeavour
To realise just this, so foolish mind, you simply wait.

Monday, December 1, 2014

Dhoonde khud ko!

Talaash kya karen use jo cheez hi na ho?
Khogaya hain lekin wohi, jise kabhi dhoondna na ho!

Aahaten sun sun ke tadapti hain jo
Yaaden chun chun ke tarasten hain tho.

LOg kya samjhenge, rooh ki gehraayiyon ko?
Jinhone pehchaana, jab chod gaye hain khud woh!

Aayina dekhten hain hum, tab bhi dikhten hain woh.
Hum hain ya woh hain?
Yahi  jaan na paayen hain hum to!