Sunday, October 25, 2015

Chal ganga ki aur!!


Jo boya wohi paaya, yahi niyam sansaar ki hai raahi.
Samajh le dil se, sudhar le ab tho sahi,
Der na kar, samay beethe hai zor zor...
Paagal manuva, ab to chal ganga ki aur!!

Kya dukh aur kya sukh hai raahi
Apni apni drishti kon ki baath hai, aur kuch bhi tho naahin
DEr na kar, samay beethe hai zor zor
Paagal manuva, ab to chal ganga ki aur!!

Na koy sacha, naahi koyi jhoota hai raahi
Sab apne apne magan mein choor hain bhaai!
DEr na kar, samay beethe hai zor zor
Paagal manuva, ab to chal ganga ki aur!!

No comments: